Daastan from Matsya Nyaya by Jatin Sharma
Tracklist
7. | Daastan | 3:33 |
Lyrics
Main nahin Jaanta mujhko chahiye kya
Ulfat main jabb kabhi sochta hun main.
Dastoor jo bana hai kya uspe chalun,
Ya magroor main apni raah khud siyun.
Kaise intehaan le rahi zindagi,
Rochak badi hogi daastan,
Abb na hun main kisi daud ka hissa,
Na banna hai mujhko koi bhi kissa.
Main nahin maanta ki sabb hai likha hua,
Na kismat ko meri kosta hun main.
Kaisi hogi yahan apni pehchaan,
Shikan nahi mujhe hoga Gumaaan.
Abb darr nahi lagta hai mujhko zamane se,
Main rokta na khud ko Kuchh aazmane se,
Meri Haqueeqat kya hai, ek raaz gehra hai,
Ek sach pe na jane kitne jhooton ka pehra hai.
Abb na hun main kisi daud ka hissa,
Na banna hai mujhko koi bhi kissa.
Main nahin maanta ki sabb hai likha hua,
Na kismat ko meri kosta hun main.
Kaisi hogi yahan apni pehchaan,
Shikan nahi mujhe hoga Gumaaan.
Credits
Album:- Matsya Nyaya
Singer/songwriter:- Jatin Sharma
Producer & Mix:- Mohit Goyal.